Interests
Top Authors
- Swati Bhalla (43)
- Anukool (15)
- Abhinav Sinha (13)
- Alya (13)
- Rashida (12)
- Alakh Sehgal (10)
- Muskan (9)
- MugdhaSays (8)
- Santulan (8)
- Bhavna V (6)
Most discussed articles
Mai chalta ja raha hun ik anjaan dagar
Kai sawaal dil me apne dabaaye magar
Kahan hai manzil meri, kahan hai mujhe jana
Kaun hai sathi mera, kya hai mujhe pana
Kyun yun hi mai roz ghar se nikalta hun
Kisliye din bhar yahan wahan bhatakta hun
Maksad mera kya sikke chand chamkile hain
Ya ye khokhle tazurbe haasil karne ke wasile hain
Izzat, daulat, aur shauhrat kyun chahtaa hun paana
Umda padhaai karke kyaa chahta hun jeet jana
Laalach or zaroorat me faraq kyun nahi kar pata hun
Kyun raat, ichhaaon ka jaal bunte huye kaat jaata hun
Musafiron ki bheed me kaun paraya hai kaun apna
Kya hai sachhai, aur kya hai sirf haseen ik sapna
Kyun mai pyar, wafa, rishte, naate sab bhool jata hun
Logon ke Jazbaaton ko rond k kaise aagey badh pata hun
Kab talak ye farebi dagar sang mere chalegi
Kahin to hogi manzil meri, jaane kab milegi
Kya in sawaalon ka kaafila umra bhar saath chalega
Kahin to jawaab honge, kabhi to ye silsila thamega…….
Photo Credits : flickriver.com
Never knew you are a good poet too…
reminds me of
“chalte rehte hain ke chalna hai, musafir ka naseeb;
sochte rehte hain, kis raahguzar ke hum hain..”
Beautifully expressed Alakh. One of your finest!
Thank you Abhinav. You can say that may be I am going thru what they called mid-age crisis where one starts questioning the very purpose of what he or she is doing.
Thanks for the appreciation…
Thanks Ravi for liking it….
very nice Alakh.
chand sawal aise hain…jiska jawab hi fir sawal ban ker khada ho jata hai her subah, her raat
aur
hum issi terah chalte jaate hain
very good indeed
keep it up
Thank you Di…. Or you can say we do not have the courage to confront ourself and accept the answers to these questions…. Maybe…
too good….
Thank you Vibha…